Saare insan ek saman hai sbko apni zindgi chunne ka adhikar hai or ye adhikar or azadi unse chinne ka huk kisi ko nahi. Ye rahi kuch kitabi or dil ko sukun dene wali baate.
Prr Jb baat asal zindagi prr aati hai to kanhi n kanhi kitabo mai likhi baate kanhi ghum si ho jaati.
Equality matlb samanata bs kanhi db krr rah jaati hai jb 100 mai se kinhi 2 logo ki ander ki nafrat kisi ke liye jo kisi anya dharm, jaati, nasla ya kisi or rang ka ho uske liye bahar nikal aaye.... Insaniyat bhool jaate hai insan aise nafrat mai... Yahi america mai hua hai or kai samaye se hota aaraha hai jiske karan wanha kuch samya se protest ho rahe hai bhed bhaw ke against.
George Floyd jo ki Minnesota mai rahte the hmare or aapki tarah jiwan jee rahe the.... 25 may 2020 ko kisi ne police ko call krke complaint ki George floye ki... Us admi ne complain mai kaha ki usko shk hai George kuch galat kaam krte hai. Police pahuchi or police ne George ko hatkadi laga krr arrest krne ki kosis ki... Prr george ne unka oppose kia tabhi Derek Chauvin Naam Ke police wale ne unke jamin prr patak krr George kr gardan prr apna pao rakh dia... Jiski wajah se George ko saas lene mai dikkat hone lagi... Wo apni zindagi ke liye tadapte rahe...police ki nirdayata kya is liye dekhne ko mili q ki zamin pr pada admi ek black american tha.....Ye nafrat krne wale log kisi tarah ke mansik rogi lagte hai... Bhala koi kisi se kaisi itni nafrat samne wale ke rang ko le krr krr sakta hai ki usko jaan se maar de or hairani ki baat tb hoti hai jb aapka rakshak hi aapki jaan lele..... Ye sb 8 min tk chala... Wanha khade logo ne video banaya or kaafi logo ne police ko hatne do bhi kaha... Prr kuch nahi hua... 8 min tk saaso ke liye tadapte George ne dam tod dia. Jb george ke gardan Prr derek ke pao the tb tadapte wkt george yahi kahte rahe i can't breath... Mane mai saas nahi le para... I can't breath aaj hrr us black american admi ka nara bnn chuka hai jo saalo se alag alag logo ki alag alag nafrat ka samna krte aarahe hai... Aaj america ki sadko prr naare lag rahe hai tod phod lut paat ho rahi hai..... Duniya america ke kanoon prr unglia utha raha hai.... George ki maut ne ek chigari ka kaam kia... Jiske wajah se saalo se bhed bhaw jhelte logo ka gussa bahar jhalak utha.... Akhir unko bhi to saas lene ka huk hai. . . ..
Ye sb kuch saalo se nahi ho raha... Ye suru hota hai 1619 se... Chaliye dekhte hai Akhir hua kya tha 1619 mai... Africa se kuch Africans ko jabran pakad krr gulam maane servant bana krr america laya gaya tha. ... Unko america mai behad buri zindagi jeene pr majboor kia gaya ek naukar ki zindagi jeene ko kaha gaya maano kisi ne daya ka bhaw hi na rakha ho unke liye...kaale gore ke bich ek dewaar khadi ki gai jismai gore ko malik kaha gaya or kale ko naukar....isko kaai salo tk pratha kah krr kale logo prr gulami thopi gai..... Wo hi chand laaye gaye Africans dheere dheere america ki zamin prr paale... Prr gulma bnn krr....George jaise America mai rahe walo ke ancestors the wo jo salo pehle ghulam bana krr america mai laaye gaye the...Saal beete naye kayade kanoon bane or gulami se chutkara mila... Manaw ziwan ki adhikar mila...prr jinn logo ne salo unke malik bnn krr unse kaam krwaya matlb gore log... Unki soch kanhi n kanhi badhi hi nahi ....maximum gore logo ne dil khol krr apnaya prr jo na apna paaye unhone nafrat mann mai daal li kale rang ke insan ke liye or bhool gaye ki rang sirf uper ki skin ka alag hai baaki insan to wo bhi hai.
Zaroorat hai un gine chune logo ko apni soch badalne ki jo mann mai kale rang ke prati nafrat rakh rahe hai...... Kbtk George jaise log rang ke adhar prr apni zindagi khote rahenge.... George ki maut se aai krati ko yunhi thamna nahi chahiye. ...prr baat kuch protest krr rahe logo ko bhi samghni padegi tod phod or dukano ko lutne se kuch accha nhi hoga....galat hai violence....or protestors ko shantin se protest krne ki zaroorat hai puri duniya unke sath hai... Unka aim sahi hai...prr kuch tarika galat...Asha hai ki kraniti khatm hone ke sath un gore logo ke ander se nafrat bhi sath le jaaye or chod jaaye bs pyar or insaniyat.
Thank u