Wednesday, June 10, 2020

अमेरिका में चल रहे विद्रोह की सच्चाई/ Truth behind George floyd Deathl

Saare insan  ek saman hai  sbko  apni zindgi chunne ka adhikar hai or  ye adhikar or azadi unse chinne ka huk  kisi ko nahi.   Ye rahi kuch kitabi or dil ko sukun dene wali baate. 
Prr Jb baat asal zindagi prr aati hai to kanhi n kanhi kitabo mai likhi baate kanhi ghum  si ho jaati.  
Equality matlb samanata   bs kanhi  db krr rah jaati hai jb 100 mai se kinhi 2 logo ki ander ki  nafrat kisi ke liye  jo kisi anya dharm, jaati, nasla  ya kisi or rang  ka ho uske liye bahar nikal aaye.... Insaniyat bhool jaate hai insan aise nafrat mai... Yahi america mai hua hai or kai samaye se hota aaraha hai jiske karan wanha kuch samya se protest ho rahe hai bhed bhaw ke against. 

 George Floyd  jo ki Minnesota mai  rahte the hmare or aapki tarah jiwan jee rahe the.... 25 may 2020  ko kisi ne police ko call krke complaint ki George floye ki... Us admi ne complain mai kaha ki   usko shk hai George kuch galat kaam krte hai. Police pahuchi or police ne George ko hatkadi laga krr arrest krne ki kosis ki... Prr george ne  unka oppose kia tabhi Derek Chauvin Naam  Ke police wale ne unke jamin prr patak krr  George kr gardan prr apna pao rakh dia... Jiski wajah se George ko saas lene mai dikkat hone lagi... Wo apni zindagi ke liye tadapte rahe...police ki nirdayata kya is liye dekhne ko mili q ki zamin pr pada admi ek black american tha.....Ye nafrat krne wale log kisi tarah ke mansik rogi lagte hai... Bhala koi kisi se kaisi itni nafrat samne wale ke rang ko le krr  krr sakta hai ki usko jaan se maar de or hairani ki baat tb hoti hai  jb aapka rakshak hi aapki jaan lele..... Ye sb 8 min tk chala... Wanha khade logo ne video banaya or kaafi logo ne police ko hatne do bhi kaha... Prr kuch nahi hua... 8 min tk  saaso ke liye tadapte George ne dam tod dia. Jb george ke gardan  Prr derek ke pao the tb tadapte wkt george yahi kahte rahe i can't breath... Mane mai saas nahi le para... I can't breath aaj hrr us black american admi ka nara bnn chuka hai jo saalo se alag alag logo ki alag alag nafrat ka samna krte aarahe hai... Aaj  america ki sadko prr   naare lag rahe hai  tod phod lut paat ho rahi hai..... Duniya  america ke kanoon prr unglia utha raha hai.... George  ki maut ne ek chigari ka kaam kia... Jiske wajah se saalo se bhed bhaw jhelte logo ka gussa bahar jhalak utha.... Akhir unko bhi to  saas lene ka huk hai. . . .. 

Ye sb kuch saalo se nahi ho raha... Ye suru hota hai 1619  se...  Chaliye dekhte hai  Akhir hua kya tha 1619 mai... Africa se kuch Africans  ko jabran pakad krr  gulam maane servant  bana krr america laya gaya tha. ... Unko  america mai behad buri zindagi jeene pr majboor kia gaya ek naukar ki zindagi jeene ko kaha gaya maano kisi ne  daya ka bhaw hi na rakha ho unke liye...kaale gore ke bich ek dewaar khadi ki gai jismai gore ko malik  kaha gaya or kale ko naukar....isko kaai salo tk pratha kah krr  kale logo prr gulami thopi gai..... Wo hi chand laaye gaye Africans dheere dheere america  ki zamin prr paale... Prr gulma bnn krr....George jaise America mai rahe walo ke ancestors the wo  jo salo pehle ghulam bana krr america mai laaye gaye the...Saal beete naye kayade kanoon bane or gulami se chutkara mila... Manaw ziwan ki adhikar mila...prr jinn logo ne salo unke malik bnn krr unse kaam krwaya matlb gore log... Unki soch kanhi n kanhi  badhi hi nahi ....maximum gore logo ne  dil khol krr apnaya prr jo na apna paaye unhone nafrat mann mai daal li kale rang ke insan ke liye or bhool gaye ki   rang sirf  uper ki skin ka alag hai baaki insan to wo bhi hai. 
Zaroorat hai un gine chune logo ko  apni  soch badalne ki jo mann mai kale rang ke prati nafrat rakh rahe hai...... Kbtk  George jaise  log  rang ke adhar prr apni zindagi khote rahenge.... George  ki maut se aai krati ko yunhi thamna nahi chahiye. ...prr baat kuch protest krr rahe logo ko bhi samghni padegi tod phod or dukano ko lutne se kuch accha nhi hoga....galat hai  violence....or  protestors ko shantin se protest krne ki zaroorat hai puri duniya unke sath hai... Unka aim sahi hai...prr kuch tarika galat...Asha hai ki kraniti khatm hone ke sath un gore logo ke ander se nafrat bhi sath  le jaaye or chod jaaye bs pyar or insaniyat. 

Thank u